সোমবার, ২০ জুন, ২০১১

Hasbi Rasbi

Archive for Naat Lyrics

Woh Tanha Kon Hai – Nisar Ali Ujagar
March 10, 2010 at 3:49 PM · Filed under Naat Lyrics

Woh Tanha Kon Hai Allah Hu Allah
Badshah Woh Kon Hai Allah Hu Allah

Hasbi Rabbi Jalallah Allah Hu Allah
Maafi Qalbi Ghayr-E-Allah Allah Hu Allah
La Ilaha Ilallah Allah Hu Allah

Kia Onchi Shaan Hai Allah Hu Allah
Sab Dilon Ki Jaan Hai Allah Hu Allah
Iski Apni Shaan Hai Allah Hu Allah

Teri Midhat Chaar Sou Allah Hu Allah
Kia Haseen Hai Guftugu Allah Hu Allah
Sheher-E-Dil Mein Tu Hee Tu Allah Hu Allah

Noor-E-Arz-O-Asmaa Allah Hu Allah
Khaliq-E-Kon-O-Makaan Allah Hu Allah
Tu Qaraar-E-Jism-O-Jaan Allah Hu Allah

Tujhse Saaray Kaam Hai Allah Hu Allah
Tujhse Subha Sham Hain Allah Hu Allah
Tere Jalway A’am Hain Allah Hu Allah

Dil Mein Teri Yaad Hai Allah Hu Allah
Zikr Rub Se Shad Hai Allah Hu Allah
Qasr-E-Jaan Aabaad Hai Allah Hu Allah

Permalink Comments

Zikr-e-Khuda Mein Hai – Nisar Ali Ujagar
March 10, 2010 at 3:46 PM · Filed under Naat Lyrics

Saaray Jahan Ki Barkatein Zikr-E-Khuda Mein Hain
Kaif-O-Sarwar-O-Rahatein Zikr-E-Khuda Mein Hain

Ikraam Chahatay Ho Tou Zikr-E-Khuda Karo
Rakhlo Yaqeen Izzatein Zikr-E-Khuda Mein Hain

Mehfooz Rehna Chaho Jou A’lam-E-Deher Se
Aisi Tamaam Rahatein Zikr-E-Khuda Mein Hain

Firdaus Uski Hai Jou Bana Zakir-E-Khuda
Jannat Ki Saari Ne’matein Zikr-E-Khuda Mein Hain

Zikr-E-Khuda Se Pehelti Hai Khusbu-E-Chaman
Gulshan Ki Bheeni Nikhatein Zikr-E-Khuda Mein Hain

Allah Ke Jou Yaar Hain Masroof-E-Zikr Hain
Ho Jalwatein Ya Khalwatein Zikr-E-Khuda Mein Hain

Nikla Hoon Zulmaton Se Ujagar Hua Hoon Mein
A’lam Ki A’la Rif’atein Zikr-E-Khuda Mein Hain

Permalink Comments

Allah Hu Ki Zarbon Se – Nisar Ali Ujagar
March 10, 2010 at 3:45 PM · Filed under Naat Lyrics

Kis Ne Naghma Chera Hai Allah Hu Ki Zarbon Se
Surr Mein Qalb Dharakta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se

Is Ski Wahdat Ka Shehra A’lam A’lam Goonja Hai
Wahdat Wahdat Burpa Hai Allah Hu Ki Zarbon Se

Neela Ambar Mehka Aur Farsh Pe Sabza Lehraya
Chehra Jug Ka Sajta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se

Allah Hu Ki Ye Zarbein Roz Laga Aey Banday
Ke Shaytaan Pigalta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se

Subha Sham Wazeefa Ho Jism-O-Jaan Ka Allah Hu
Raazi Khaliq Hota Hai Allah Hu Ki Zarbon Se

Daryaon Aur Sehraon Kehsaron Mein Goonji Hai
A’lam Baaqi Rehta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se

Mere Andar Aur Bahar Khushbu Khusbhu Pheli Hai
Gulshan Jaa Ka Mehka Hai Allah Hu Ki Zarbon Se

Hamd Ujagar Parhta Hai Zarbein Saath Lagata Hai
Kitna Acha Lagta Hai Allah Hu Ki Zarbon Se

Permalink Comments

Kehti Hain Phoolon Ki Rida – Nisar Ali Ujagar
March 10, 2010 at 3:43 PM · Filed under Naat Lyrics

Kehti Hai Ye Phoolon Ki Rida Allah Hu Allah
Ashjaar Ke Patton Ne Kaha Allah Hu Allah

Baadal Ne Asmaan Pe Likha Allah Hu Allah
Parbat Ki Qitaaron Ki Nida Allah Hu Allah

Ho Surah-E-Yaseen Ke Surah-E-Rehman
Qur’an Ke Lafzon Ki Sada Allah Hu Allah

Karta Hai Sana Teri Barasta Hua Paani
Darya Bhi Hai Masroof Sana Allah Hu Allah

Khushbu Jurab Ujalay Dhanak Aur Kehkashaan
Zakir Hain Tere Arz-O-Sama Allah Hu Allah

Shabnam Girri Jou Phoolon Pe Parhti Hui Sana
Bulbul Ne Dekh Kar Ye Kaha Allah Hu Allah

Jab Naza’a Ke A’lam Mein Ho Maula Ye Ujagar
Wird-E-Zabaan Ho Zikr Tera Allah Hu Allah

Permalink Comments

Zikr-e-Khuda Mein Khoya – Nisar Ali Ujagar
March 10, 2010 at 3:41 PM · Filed under Naat Lyrics

Patta Patta Boota Boota Zikr-E-Khuda Mein Khoya
Daali Daali Ghuncha Ghuncha Zikr-E-Khuda Mein Khoya

Perbat Perbat Dharti Dharti Amber Amber Wasif
Sehra Sehra Darya Darya Zikr-E-Khuda Mein Khoya

Qarya Qarya Wadi Wadi Gulshan Gulshan Zakir
Qatra Qatra Zarra Zarra Zikr-E-Khuda Mein Khoya

Qumri Qumri Tooti Tooti Bulbul Bulbul Hamid
Chirya Meyna Har Parwana Zikr-E-Khuda Mein Khoya

Rim Jhim Rim Jhim Girti Barish Geet Ussi Ke Gaye
Chalta Darya Behta Jharna Zikr-E-Khuda Mein Khoya

Farsh-E-Zameen Tak Arsh-E-Bareen Tak Usski Qudrat Zahir
Dharti Ka Har Kona Kona Zikr-E-Khuda Mein Khoya

Sundar Sundar Dil Ke Andar Naam Ujagar Iss Ke
Meri Jaan Ka Gosha Gosha Zikr-E-Khuda Mein Khoya

Permalink Comments

Tere Banday Hain Hum – Nisar Ali Ujagar
March 10, 2010 at 3:39 PM · Filed under Naat Lyrics

Phir Dekhadey Haram Tere Banday Hain Hum
Hum Pe Karday Karam Tere Banday Hain Hum

Hum Gunaahgar Hain Siyaahkaar Hain
Ho Karam Dar Karam Tere Banday Hain Hum

Rooh Shadaab Ho Jism Seraab Ho
Dil Ki Dharti Ho Num Tere Banday Hain Hum

Hum Ko Izzat Bhi Dey Hum Ko Azmat Bhi Dey
Jug Mein Ho Mohtaram Tere Banday Hain Hum

Tu Hee Mushkil Kusha Karde Aasaniyaan
Rakh Hamara Bharam Tere Banday Hain Hum

Shukriya Shukriya Ae Khuda Azzawajal Shukriya
Hum Ko Teri Qasam Tere Banday Hain Hum

Permalink Comments

Rung De Maula – Bismil Aghayei
March 10, 2010 at 3:37 PM · Filed under Naat Lyrics

Mujhe Rung Dey Mujhe Rung Dey Maula Rung Dey Maula Rung Dey
Maula Rung Dey Maula Rung Dey Mujhe Apne Rung Mein Rung Dey

Tu Kareem Hai Tu Raheem Hai Teri Zaat Sabse Azeem Hai
Nahi Tujhsa Koi Bhi Dosra Tu Khabeer Hai Tu Aleem Hai

Ye Latafatein Ye In’ayatein Hain Tere Karam Ki Wazahatein
Jou Chaman Mein Hai Tou Naseem Hai Jou Gullon Mein Hai Tou Shameem Hai

Tu Ba’eed Bhi Tu Qareeb Bhi Tu Muhib Bhi Hai Tu Habeeb Bhi
Tu Hararat-E-Dil-E-Ashiqaan Tu Nishaan-E-Aql-E-Saleem Hai

Tu Hai Raaz Zaat-O-Sifaat Ka Tu Hai Rung Bazm-E-Hayaat Ka
Kahin Shaan-E-Khalq-E-Muhammadi Kaheen Husn-E-Nataqe Kaleem Hai

Tu Habeeb Bhi Tu Hafeez Bhi Tu Raheem Hai Tu Kareem Hai
Tu Baseer Bhi Tu Naseer Bhi Tu Kabeer Hai Tu Haleem Hai

Tu Mere Khayaal Ke Gulshanon Mein Basa Misaal-E-Shameem Hai
Tu Mere Yaqeen Ki Wus’aton Mein Khiraam-E-Mauj-E-Naseem Hai

Hai Ye Dua-E-Bismil-E-Neem Jaan Ke Meri Khataon Ko Bakhsh Dey
Hai Mujhe Tou Tera Hee Aasra Tu Haleem Hai Tu Raheem Hai

Permalink Comments

Zahay Izzat-o-Aitlaye Muhammad – AlaHazrat
March 9, 2010 at 5:16 PM · Filed under Naat Lyrics

Zahay I’zzat-o-A’et Laa-Aey Muhammad
Kay Hai Arsh-e-Haq Zeyr Paa-Aey Muhammad

Makaan Arsh Unka Falak Farsh Unka
Malak Khaadimaan-e-Saraa-Aey Muhammad

Khuda Kee Raza Chahtay Hain Dou A’alam
Khuda Chahta Hai Raza-e-Muhammad 

Dum-e-Naz’a Jaaree Ho Mayree Zabaan Per
Muhammad Muhammad Khudaey Muhammad

Mein Qurbaan Kiya Piyaree Piyaree Hai Nisbat
Ye Aane Khuda Wo Khudaey Muhammad

Khuda Unko Kis Piyar Say Dekhta Hai
Jo Aankheyn Hain Mehway Liqaey Muhammad

Ijaabat Nay Jhuk Kar Gallay Se Lagaya
Baree Naaz Say Jab Dua-Aey Muhammad

Ijaabat Ka Sehra I’nayat Ka Jorra
Dulhun Bun Ke Nickli D’uaey Muhammad

Raza Pull Say Ab Wajd Kartay Guzariyay
Kay Hai Rub-e-Sallim Sadaey Muhammad

Permalink Comments

Sarwar Kahoon Ke Malik-O-Maula – AlaHazrat
March 9, 2010 at 5:09 PM · Filed under Naat Lyrics

Sarwar Kahoon Kay Maalik-o-Maula Kahoon Tujhay
Baagh-e-Khaleel Ka Gul-e-Zaiba Kahoon Tujhay

Subh-e-Watan Pay Shaam-e-Ghareeban Ko Doon Sharaf
Beykas Nawaaz Geysuoon Wala Kahoon Tujhay

Allah Ray Teyray Jism-e-Munawwar Ki Tabishein
Aey Jaan-e-Jaan Mein Jaan-e-Tajalla Kahoon Tujhay

Mujrim Hoon Apnay Af’oo Ka Samaan Karoon Shah-aa
Ya’nee Shafe’e Roz-e-Jaza Ka Kahoon Tujhay

Teyray Tou Wasf A’eb Ta-Na-Hee Say Hain Bury
Hairaan Hoon Meyray Shah Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay

Keh Lay Gee Sub Kuch Unkay Sana Khuwaan Kee Khaam-Shee
Chup Ho Raha Hoon Keh Kay Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay

Leykin Raza Nay Khatm-e-Sukhan Iss Pay Kar Dia
Khaaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhay

Permalink Comments

Zameen-O-Zamaan – AlaHazrat
March 9, 2010 at 5:05 PM · Filed under Naat Lyrics

Zameen-o-Zamaan Tumhaaray Liye Makeen-o-Makaan Tumharay Liye
Chuneen-o-Chunaan Tumharay Liye Bunay Dou Jahaan Tumharay Liye

Dehen Mein Zubaan Tumharay Liye Badan May Hai Jaan Tumharay Liye
Hum Aa-Aey Yahaan Tumharay Liye Uthay Bhee Wahaan Tumharay Liye

Isaalat -e-Kul Imaamat-e-Kul Siyaadat-e-Kul Imaarat-e-Kul
Hukoomat-e-Kul Wilaayat-e-Kul Khuda Kay Yahaan Tumhaaray Liye

Ye Shams-o-Qamar Ye Sham-o-Saher Ye Barg-o-Shajar Ye Baagh-o-Samar
Ye Teygh-o-Sipper Ye Taaj-o-Qamar Ye Hukm-e-Rawaan Tumharay Liye

Na Rooh-e-Ameen Na Arsh-e-Bareen Na Lawh-e-Mubeen Koi Bhi Kahin
Khabar Hee Nahin Joe Ramzeyn Khulein Azal Ki Neyhaan Tumharay Liye

Jina Mein Chaman Chaman Mein Samun Samun Mein Phabun Phabun Mein Dulhan
Sazaey Mehun Pe Aesay Mey-nun Ye Amn-o-Amaan Tumharay Liye

Khaleel-o-Najee Maseeh-o-Safee Sabhee Say Kahi Kahin Bhi Bunee
Ye Bay Khabaree Kay Khalq Phir-ee Kahaan Say Kahaan Tumharay Liye

Ishaaray Say Chaand Cheer Diya Chup-Pay Huay Khoor Ko Phayr Liye
Ga-Aey Huay Din Ko Asr Kiya Yay Taab-o-Tawaan Tumharay Liye

Saba Wo Chalay Kay Baagh Phallay Wo Phool Khilay Ke Din Ho Bhalay
Leywa Kay Talay Sana May Khullay Raza Ki Zabaan Tumharay Liye